Azadi ke Veer -SAHTIR

 Azadi ke Veer 


Lahore mein kiye huye bomb blasts ki hunkaar likh rha hu,
Jhaansi ki talvaaaro ki jhankaar likh rha hu,
Laal Bahadur Shastri ji ki Lalkaar likh rha hu,
Aaj azadi ki Veero ko naman karne chand pankitiyo mein azadi ka saar likh rha hu,

Jiss rassi ko chooma bhagat ne uss faansi ko likh rha hu,
Chandrashekhar azad, azaadi ke abhilaashi ko likh rha hu,
Likh raha hu mai poore Naram dal ki aawaz ko,
Likh raha hu Mangal Pandey ke bhari awaam mein goli chalaane wale andaaz ko,

Yaad karo Jallianwala Bagh ke sannaate mein goonjti har ek cheekh ko,
Yaad karo 15 August 1947 ki is amar taarekh ko,
Ram Prasad Bismil aur Ashfaqullah Khan ki yaari ko,
Mai Dyer ko Marne ke liye Udham Singh ki taiyari ko,

Bose ki khoon ke badle milne waali azaadi yaad karo,
Simon ke khilaaf sar pe dande khaane wale Lalaji yaad karo,
Mere kalam se naman hai azaadi ki uss poore sehlab ko,
Yaad karo un veer krantikariyo ke Inquilab ko,

Khoon se bhari un raaton ko yaad karke,
In veeron ke deshbhakti ke jazbaaton ko yaad karke,
Aaj mai mera kalam un veero ke baare mein bohot kuchh keh jaata hai,
Jinki mehez do saanso se tiranga aaj talak lehraata hai.
               -SAHTIR



Comments

Popular Posts